What is Protein? Benefit And Side Effects
Sabse pahle baat karte hai ki protein kya hai. protien 3 Macro-nutrient mein se ek nutrient hai, jiski hamare shrir ko bahut jarurt hoti hai. Jhan tak science ki baat kare to yah ek esa molecule hai jo ki chote chote amino acid particle se bana hota hai. Vaise to hajaro ki maatraa me amino acid hote hai lekin Human Body sirf 22 amino acid se bani hoti hai. Human Body mein sirf 9 amino acid ki jarurt hoti hai baaki ke amino acid body apne aap bana leti hai. Inn 9 amino acid ko EAA bhi kahte hai jiska matlab hai Essential Amino Acids.
Ab baat karte hai ki kya bina supplement ke bhi ham protein kisi aur Source se le sakte hai? To iska answar hai, Ji Han ham protein Animal aur Plant dono se le sakte hai. Hame protein Meat, Eggs, Chicken, Fish se mil jata hai jo ki animal Protein Source hai. Aur soybean, Nuts, aur Beans se bhi ham protein le sakte hai jo ki plant based protein hai.
Kya kaam karta hai Protein?:-
- Protein muscle banane mein madad karta hai.
- Hamare Immunity system ko improve karta hai.
- Protein hamare body mein PH level ko maintain karta hai.
- Yah hamare shrir me Electrolyte ko maintain karne me madad karta hai.
- Protein weight kam karne mein bhi madad karta hai.
Protein Powder lene ka kya benefit hai?
- Protein Instant energy deta hai. aur aapki Muscle ke Breakdown process ko kam karta hai. Isse aapka muscle ka size bhi badh jata hai.
- Protien Powder fat kam karne me help karta hai kyoki isme thermogenics effect hota hai.
- Iske powder ko use karne ki salah doctor Cancer aur Aids ke patient ko bhi dete hai kyoki yah muscle tutne se bachata hai aur iske sath sath yah nyi muscle banane me bhi help karta hai.
- Protein powder ka use weight kam karne ke liye bhi kiya jata hai. Iske liye aapko protien powder ko Meal Replacement ki tarah use karna hoga.
- Protein Wajan aapko kai type ki disease se bhi bachata hai. Agar iska sahi dhang se istemaal kiya jaye to Yah Kidney aur Heart ki disease ko dur rakhne me help karta hai.
Protein Powder ke Side Effects:-
- Protein powder se Gas ki problem ho sakti hai. Jin logo ko Lactose problem hoti hai unko is dikkat ka samana karna padta hai.
- Starting me Protien powder lene se aapko Headache jaisi problem ka samna karna pad sakta hai.
- Agar aapko Cow ke Dudh se koi Problem hai to aapko Whey Protein ka istemaal nhi karna chahiye.